~ Uski Ankhen ~
Darwaaze
ki aut main chipkar maine usko dekha tha,
Mitti
si sondhi bhoori ankhen uski mujhko rok rahi thin,
Nam,
gham sii bhaari, kuch bol rahi thin,
Pabndiyon se bhojil, jhapak jhapak kar,
Farmaan-e-furqat se har su yun jhagad rahi thin ..
Khud ki dulhan ko andekha kar,
Woh
sirf mujh ko ghoor rahi thin,
Kaisi
shaadi, kaisa mut’h, khawaaishen thin bepardah ..
Uski
dulhan pare kamre main baithi thi shaayad,
Uski
ankhen ghair ko noor-e-humdum bol rahi thin ..
Mehndi se hare,
Gote belon main lipte,
Hazar harfon sitaron se chune,
Surkh jode main saji — dulhan,
Garaahre ke bhaari dupatte main jahan dilshad yaaden
samet rahi thi,
Halki
saadi neeli saaree hasrat main wahin jhulas rahi thi ..
Uska gul-e-sehra,
Itraati
bikharti Pakistani ittr ki khushboo,
Uski sunhari
sherwani ke mehnge maheen dhaage,
Mujh
par qabzah kiye hue they ..
Aadaab-e-mukhtalif
ne uski tab yun aaz lagayi,
Lihaaz aabru ka gala maine ghot diya phir ..
Mehfil-e-aara’ish
se rukhsat hone ka man banaye,
Jo maine apne aashuftah paun dehleez talak badhaye,
Darwaaze se palat ke dekhne ki tabiyat hui ek baar,
Bechen saanson aur ghabrati palkon ka hawaala de kar,
Aab-e-chashm
liye uski uudi aankhen mujhko rok rahi thin ..
Main
ek anjaan thi, na uska naam-o-maazi mujhe pata,
Khawaab
main maujood tha jo woh ek shaks,
Meri pyaasi
aarzoo ne hi toh tha usko buna,
Toh
kaise kar gaya mujhe meri asliyat se hi ghaafil,
Kyon
darwaaze se yun laut jaana thi namuraad-e-sazaa ..
Neend
ka tootna ab khalta sa hai,
Waqt beet
ra hai, na beetta hai toh woh mera humsaya,
Uski hairaan
sooni ankhen mujhko ab bhi rok rahi hain,
Phir shaadab
alfazon main yun kuch bol rahi hain,
Main
hi hun uski dulhan, mujhse hi hai uska nikaah,
Iss
mukhtasir baat ko hi qaa’idah-e-ghazal tol rahi hain ..
Tum hi
bolo na — Kya main phir se so jaun?
Usko
ussi kamre main, uss bheed main khoya,
Saaf shaffaq chaandni par baitha paun?
Phir se
kya main uski faryaadi ankhon ko dekhungi?
Unmain
basi uss tadap ko iss baar samajh sakungi?
Jo ho Ijaazat-e-Khudayi
— toh,
Iss bezaar
wajood ko bhula kar, taap main jalakar,
Unn
ankhon ki kashish main pehle se kahin jyada pighal jaun,
Uske
aagosh main kho kar, phir se kuch dhoondun —
Issi
azal main khud ko bedaar kar paun,
Shaayad
iss kar-guzar khud ko pehchaan paun …