Monday, 10 November 2014

Priye,



Priye,
Zara zara surkhi si liye,
Naarangi,
Palash ke phool,
Hare padte pathar ke chabootare,
Pe bikhri unchooyi dhool,
Chilchilati garmi ki godd mein,
Ithlati, jhoolti, hawa,
Waqt ke wazan se kosonn door …
Chutti ki ghanti si,
Ek mah se bhatakti, deewaron se takrati goonj,
Sookhe, toote patton, danthalon ki gawahi lete,
Soone, khaali, bechen school …
Paeron mein piste, ghiste, riste,
Palash ke peele padte phool,
Tumhare sooti kurte ke daaman ka bheega kona,
Mere maathe se paseene ka sookh jana,
Kuch kuch jaise, barson intezaar ke baad,
Paani ki ek boond ka kunwari dhool ko choo jaana …
Kya itna kam tha,
Meri tarasti rooh ko bhigo jaane ko?
Sihran si taer gayi thi,
Chehre ko nigah bhar, nigah se chooma jab tumne ……
Main bohot, bohot khush hoon, sachi,
Hazar ashron, sau sadiyon baad bhi … haan, shayad aaj bhi ………

~Tumhare intezaar mein,
Sirf tumhari hi!

1 comment:

  1. this is indeed tenderly composed, you have a flair. keep your good work on. God Bless!!

    ReplyDelete