Monday, 31 March 2014

~ Musing after Midnight O’ Her ~


~ Musing after Midnight O’ Her ~

On a stellar honeymoon,
For just four suckling Suns,
From thirty crescent grey moonets,
With herself,
Oh, she is lying in satin bed,
Goose down quilt stretched to her head,
Curious — more than the size of two silk bolsters — hair caressed,
Cold nipping,
Dark gripping,
Here, she is about to narrate,
Bystander to which she was,
A tale of a happily shallow brook,
Flowing beneath her window of pure timber wood,
Oh, listen, how it croons …
Yes, the songs,
Lilting hymns,
A flitting fable,
Of one not-so-fair girl and,
Her submission to the moon,
Her love of trees,
Trails,
Mallow grass,
Of quagmires,
Marshy lands,
Green water,
Lazy horses,
Swift squirrels,
Of how Butterfly colors got rubbed off on her,
Of one badminton match in the morning,
Another table tennis duel after dinner,
Lo! Birds twittering, chattering,
While she is making love to her muse,
Even after Midnight O’ Her …
Her long lost tender song overawed her,
In a rich, momentous seclusion — homing in zilch —
She is laughing, hugging and kissing her soul,
Euphorically — amused — here — only here,
With me,
Within me …



Sunday, 30 March 2014

~ Shayar ~



~ Shayar ~

Itmenaan e ilzaam, na pasheman, kuch bhi kahe,
Marta hai shayar ki shayad use bhi koi ghazal kahe ..
Iraade namoos, har pursoz chokhat pe sir rakhte hai,
Ashaar sa jab bhikarta hai, phir usse nazm na kahe ..
Shayar tu aashiq hai sabka, koi nai phir bhi tera,
Begaanon ko phir tu kis maksad apna yun kahe ..
Ishq aisa paleed hai, duniya se hi karta hai bezaar,
Uff,Khuda khair kare, muhabbat se waabasta na kahe ..
Ae pagal Shayar, jaa dafan ho kisi naye chabootre tale,
Albatta, aisa nukta likh, Aashiq tujhe ‘Sabka’ na kahe …




Tuesday, 18 March 2014

~ Kaafi Thi ~


Image Source: Google Images (Anonymous)

~ Kaafi Thi ~

Majnun ne phir yun bola, muhabbat hi kaafi thi,
Khaak sa kar dene ko, Laila si Ah hi kaafi thi ..

Shukr  tu ada kar, aashiyan door behad hai tera,
Warna khaatme ko, wahi ek nazar hi kaafi thi ..

Uski hichki  ko, Ae nadan, waseela na samajh,
Warna yaad karne ko, naram saans hi kaafi thi ..

Maghroor hai bohot ishq, Aashiq — Ae nasamajh,
Muhabbat musalsal krne ko ek haan hi kaafi thi …

Saturday, 15 March 2014

~ Kya kahun ab kaise … ~


~ Kya kahun ab kaise … ~


Main tujh main shaamil kuch iss tarah hui,
Jaise,
Bechen ruh main Khuda,
Larazte honton pe hansi,
Tarsati ankhon main dua,
Tal’kh lehje main narmi,
Thithurte badan main garmi,
Junoon-e-rahh,
Sukoon-e-qalb ..
Aur, jo tune khud ko mujh main qaed iss tarah kiya,
Jaise,
Behoshi main hosh ka hona,
Khawaab main bhi rona,
Uljhe gesuon main hawa ka ghar karna,
Sookhi jild main nami ka sama jana,
Banjar dil main fuhaar aana,
Jaise, Registaan main bahar pana,
Bhujti aankhon ki roshni banna,
Jaise, soti shama main umeed ka hona,
Zabt-e-sarmaya,
Intezaar-e-dildaar,
Kya kahun ab kaise samaya —
Mujh main tera Pyaar, tujh main mera pyaar …
Tu hi meri jind, tu hi mera yaar …
Tu hi hai ab mera yaar …

Friday, 14 March 2014

~ Rung Saaz ~


~ Rung Saaz ~

Sun, ki yun wafayen ab na mang, kitab band hui,
Hisaab main bhi mangungi, toh ‘gar kya kitab band hui?

Uss roz Mahtaab zyada roshan tha, Furqat-e-ayyari liye,
Gharaz ubharti dekh, aasman-o-ishq ki bhi kitab band hui ..

Issii muskurahat se uthte girte they khushgawar fawaare,
Kitne doobe, kya kahun ab, jab Mijaaz ki kitab band hui ..

Khud ke pehlu se thi phir chalki badnaam rung o nishani,
Gustakhiyon ko dafna, ki rung amaizi ki kitab band hui ..

Aftab ki ankhon main yun taghaful na dhoond e-fankar,
Unhe dekh mah runga hai aaj tak, kholun, jo kitab band hui?

Monday, 10 March 2014

~ tera Aanchal ~



~ tera Aanchal ~

Ab sirf ek hi khayal se darta hoon,
Bol na doon, kitna tujhpe marta hoon ..
Woh makhmali maujoodgi teri,
Rooi ke faahon si awaaz bhi,
Nazakat se ugliyon ka hawa ko tarashna,
Sambhli laton ko yun baar baar sanwarna,
Aaj phir dekh raha hun maine tujhe—
Kathai ankhon main woh terte hazaar afsaane,
Unn afsaanon ka kajal ke saath beh janaa,
Budbudate honth, khud se baaten karna tera,
Sehmi saanson ko Aanchal main chupa lena tera,
Shafaaq safed daaman ko bhi sehlana tera,
Har teekhii nazar main aur murjhana tera,
Thandi mitti ke saamne, buut sa ban jana tera,
Shauhar ke saath hi Zinda marjana tera,
Nighaon hi nighaon main, kone main khade rehkar,
Teri jalti chuppi ko chuski pe chuski piya maine,
Bas ab issi tarz pe hai khud ko hi ganwaya maine,
 Shadab ho jaye tu phir se, ek adad ehed yeh kiya ..
Pasheman rahe duniya tere garam naram wujood pe,
Jo aaj royi hai tu, toh yeh aakhri gham toh nahin,
Par khud se aaj maine yaqeenan waedah hai liya,
Ki, Ghamgeen karne ko Aanchal tera ab sada Rangeen hoga!

~ lou ~



~ lou ~

Bhujti lou ka dard,
Bhoodi lou hi samjhegi,
Shabaab main maghroor,
Roshni main nahayi,
Mehfil main nayi nayi aayi,
Toh abhi madhosh hai,
Chaandani si soyi hai ..
Zara waqt guzar jaye,
Jawani toh dhal jaye,
Silwaten hatheliyon pe palne do,
Roshni kuch madham padhne do, 
Andhere ka daaman thaam woh,
Ankhon ko har su jhapak jhapak ke,
Pata khud jaison ka poochegi,
Humnawa, humrah, humsaya,
Phir woh BHI dhoondegi …

Sunday, 9 March 2014

~ Ho Chala … ~


~ Ho Chala … ~

Baithe baithe seene main, behad tanha ho chala,
Ankhon se baha, phir ravaan kuch yun ho chala ..

Ansuon ne gaalon ko chuma, sijde kiye zameen ke,
Majnoon na bolen, bad se badtar mera haal ho chala ..

Karaar na mila phir bhi, haal e dil kya bayaan karun,
Khoon e jigar kya, Soch ka gosha gosha laal ho chala ..

Arzoo e sukoon piye, kore panne phir maine syah kiye,
Duniya ne kya padha, phir toh aisa bawaal ho chala ..

Shukraan bheja dil se duniya ki har wah wah wah pe,
Kya manzar tha suniye, dard bhi phir ‘Umda’ ho chala ..

Falak chua, taazi sard hawa main zakhm bhi hara hua,
Ab marham ki chah liye, main phir se bezaar ho chala …