~
tera Aanchal ~
Ab sirf ek hi khayal se darta hoon,
Bol na doon, kitna tujhpe marta hoon ..
Woh makhmali maujoodgi teri,
Rooi ke faahon si awaaz bhi,
Nazakat se ugliyon ka hawa ko tarashna,
Sambhli laton ko yun baar baar
sanwarna,
Aaj phir dekh raha hun maine tujhe—
Kathai ankhon main woh terte hazaar
afsaane,
Unn afsaanon ka kajal ke saath beh
janaa,
Budbudate honth, khud se baaten karna
tera,
Sehmi saanson ko Aanchal main chupa
lena tera,
Shafaaq safed daaman ko bhi sehlana
tera,
Har teekhii nazar main aur murjhana
tera,
Thandi mitti ke saamne, buut sa ban
jana tera,
Shauhar ke saath hi Zinda marjana tera,
Nighaon hi nighaon main, kone main
khade rehkar,
Teri jalti chuppi ko chuski pe chuski
piya maine,
Bas ab issi tarz pe hai khud ko hi ganwaya
maine,
Shadab ho jaye tu phir se, ek
adad ehed yeh kiya ..
Pasheman rahe duniya tere garam naram
wujood pe,
Jo aaj royi hai tu, toh yeh aakhri gham
toh nahin,
Par khud se aaj
maine yaqeenan waedah hai liya,
Ki, Ghamgeen karne ko Aanchal tera ab sada
Rangeen hoga!
happy first of the week to you...
ReplyDeletesmiles.