Friday, 14 March 2014

~ Rung Saaz ~


~ Rung Saaz ~

Sun, ki yun wafayen ab na mang, kitab band hui,
Hisaab main bhi mangungi, toh ‘gar kya kitab band hui?

Uss roz Mahtaab zyada roshan tha, Furqat-e-ayyari liye,
Gharaz ubharti dekh, aasman-o-ishq ki bhi kitab band hui ..

Issii muskurahat se uthte girte they khushgawar fawaare,
Kitne doobe, kya kahun ab, jab Mijaaz ki kitab band hui ..

Khud ke pehlu se thi phir chalki badnaam rung o nishani,
Gustakhiyon ko dafna, ki rung amaizi ki kitab band hui ..

Aftab ki ankhon main yun taghaful na dhoond e-fankar,
Unhe dekh mah runga hai aaj tak, kholun, jo kitab band hui?

No comments:

Post a Comment