~ Dushwar hua hai … ~
Labon
ka yun kholna dushwar hua hai,
Dilon
ka bhi ab jodna dushwar hua hai ..
Baaten
teri Kitni rezon jaisi hoti hain,
Ki
unko sacha tolna dushwar hua hai ..
Rooh
main utaar doon main khud ko,
Par
tujh main gholna dushwar hua hai ..
Zuban par rayt se dheele hain ye kisse,
Ab
munh bhi kholna dushwar hua hai ..
Jamti jaye kayi si seene ki gehrai main,
Tujhse
‘na’ yun bolna dushwar hua hai …
evocative picture...i can only imagine the words the same...
ReplyDeleteye kaisi mushkil zubaan bandi hai un ki mehfil mei
ReplyDeletekuch logon ko shaayri samajhna dushwar hua hai
Beautiful Sadia. Such amazing grace. I think it is the sheer longing in these lines that makes them powerful.
ReplyDelete