Tuesday, 3 June 2014

Kuch yun hi ... :) :)


~ Kaisi girho'n main uljhe jaati hain, ye surkh palkhen tumhari,
Kastoori dhoondte ho, ya bhula de usse phir, aisi khumaari?

Wherefore, thy weary eyes hath entangled, to lose their sheen,
Searching for thy musk, or to forget it, an intoxication so keen? ~

~ Kaash, ki ye pur’tapish saans, hui hoti naseem,
Kaash, ‘gar jo ho paati main, tujh se, marasim …

If only, this charred breathe, could become breezy,
If only, to woo you till I breath my last, was easy … ~

~ Shadeed sunne waale qayaam kiye, par Gul murjhaya be-awaaz hi,
Bhanw’re be-araam jo aaj hain, kyon Guncha masail e bazaar ho?

Flower wilted without a moan, howsoever keen ears homed around,
If, Bumblebees drone today aloud, why should a Bloom astound? ~

~ Kaash, ki khuda kare, barkaraar rahe ye silsila yun hi,
Aap udhar jalte raho, hum idhar musalsal, sulagte rahen ..

Muhabbat main, jismon ka mil jaana hi, mayaar to’ nahi,
Roohen chuyen, aur tasavvur rava’ni se, dhadhagte rahen .. ~

~ Teri do ankhen, us khuld ki pehredaar,
Piyen, goya lahaasil, adab e taabdaar,
Musalsal sargoshiyon main ye labrez,
Khuloos e tarkash e nigah, dhaardar!

Gate to an eternal paradise, your eyes,
Lost in luminous literature, your eyes
Doused in whispers such, they’d sigh,
Sharp arrow in pure quiver, your eyes! ~

~ Ufaq pe me’hboob, tera basera,
Wasl pe bhi, dooriyon ka pehra,
Kaise karoon taw’af, zameen se?
Surkh labon ka, sawal ye gehra!

So would you dwell the horizon, love,
Tryst of hearts, much entangled, love,
How should the betwixted be kissed?
My ruby lips, etching the query, love! ~


~ Kundi nahin kholi usne, darwaaze ki,
 Raat saari roti rahi, sone ke bahane se ..

 Doors, were so kept bolted, the past night,
 Behind closed lids, cried she, the last night! ~


~ Shab e vasl kareeb, mujhe tujhe, chaen kahan,
 'Garche aa jaye, toh wo namurad e ishq kahan! ~

~ Be-amad O raft nahin chorha koi do-raha ghair ke shahar ka,
Banjar hua hai dil, nahin raha aasra tere kisi saraab e nahar ka,
Na-qabil e tahseen gali-kuchon ko phir jhuk-jhuk ke kiya salam,
Musht-e-Ghubaar hua kohsar, ho ke janib isi farayb e pahar ka! 

*** Be-Amad O Raft – Untrodden/unwalked
Saraab – Mirage 
Na-Qabil e Tahseen – not worthy of praise/ unappreciated
Musht-e-Ghubaar – Handful of dust
Kohsar – Mountain

Not any lane on strangers’ land, hath been left untrodden,
Barrened heart, no longer yearn for mirage of thine, hence,
Lowly alleys, unpraised nooks, so thus are now bowed to,
Time lending fibs, a handful of dust for pawned mountain! ~

~ Nazar e poshid'gi se alahaidgi ka farmaan,
 Ghair ke husn e zan ko shingaar ka samaan,
 Munaasib ho na 'gar itni sakht-kalaami bhi,
 Mere lahoo se surkhroo kar tere ye armaan! ~

~ Bahanon bahanon main, ki dekh,
Guftugu ye kahan talak pohnchi,
‘gar  jo hans de, toh meri wah wah,
Jo tu ruthe, toh hogi ‘Uski’ marzi … ~


~ Majboori ka yun ‘gar naam khuda,
Woh jo tode, kisi se bhi jude kahan?
Dil aajazi, uff, ‘Ye’ zaalim kaam juda,
Phate, kate, jale, fir se seele wahan! ~

~ How tender and sweet, her pink bounty laughs,
Plucking on my heart, those swinging boughs! ~


~ Jis thor main kar thehrun, jis bhi aur fir chalun,
 Meri muqadas jagah, paaktareen gosha, sirf tu! ~

~ Raabta bewaj'h, ehbab itne kyon?
 Faqat ishq, jism O jild se ho kyon?
 Mujhe dhoonde hai jo tu, sab main,
 Khaas 'gar, yun aam fir hon kyon? ~

~ Adab nargisi, hai khoob hazar boo-e-gulaab si,
 Shabnam-e-'ainy' thehri, jab tak rahi hatheli par .. ~

~ Hai ittefaq ki hum donon ke khayalat kitne milte hain,
 Maine tujh ko hai chaha, tune bhi khud ko hi chaha... ~

~ Raaten siah, la tadaad sansen, kuch ek adhoore khawaab,
 Maahol O waqia tha intiqal e muhabbat, ye warasat mila! ~

~ Ji .. hai 'hasad' aap se, aur ho bhi toh kyon na?
 Baittefaqan, ishq main choor, hum sa jo mil gaya! ~

~ Ghairon se ki tasdeeq, na usse tu ne poocha,
Unn jaison ko toh lagta, ye bawaal acha hai .. ~

1 comment:

  1. ~ Hai ittefaq ki hum donon ke khayalat kitne milte hain,
     Maine tujh ko hai chaha, tune bhi khud ko hi chaha... ~

    Wallah! Who is that lucky @#$%&*-+???

    ReplyDelete