Thursday, 9 October 2014

~ Milan ki aas mein … ~


Painting Credit : Anonymous


~ Milan ki aas mein … ~
Chun chun ke, bun ke,
Dhaani rang mein khud ko lapeta tha,
Kamar ke paas,
Ek nanhi gaanth mein,
Chaabhi ke gutche sa,
Tum ko sameta tha …
Kal poori raat,
Jab chaand soya tha,
Thakan se taaron ne bhi,
Palkhon ko dhaanka tha,
Tab ek ek karke,
Mogre ke phoolon ki,
Khushboo ko muthi mein bheench kar,
Ussi dhaani pallu ke ek sirre mein,
Nam hothon se maine piroya tha …
Bindiya, hasli, haath ka kadha,
Bichiya, choodhi, kamarbandh,
Ankhon mein angrhayi lete,
Sapne sanjoye do chaar,
Sab ko hi maine,
Sirhaane takiye ke,
Haule haule thapkiyan de kar,
Khoob aas se sulaya tha …
Bhor hote hi uthna tha,
Tum se jo milna tha, pehli baar,
Tum se hi mil jaana tha, iss baar,
Haan tum se milna … Tha ………
Tum phir se rooth gaye ho na?

2 comments:

  1. your language is beautiful....and fun to say....smiles
    happy thursday

    ReplyDelete
  2. Last line is entirely avoidable. Thum se hi mil jaana tha... Awesome!

    ReplyDelete