Thursday 16 October 2014

~ Tumhain pata hai na? ~


~ Tumhain pata hai na? ~

Main roz raat,
Khidki khuli chorh deti hoon,
Tumhain pata hai na,
Tumhare intezaar mein …
Tum aate ho,
Neend ke paani mein,
Chap chap karte,
Cheente tumhare aane ki,
Palkhen tak bhigo jaati hain …
Khawaab ki parton ko khol,
Sehlati, meri rooh ke farsh ko,
Jugnu si chuan hai tumhari,
Oss si paak, kamsin aur taazi,
Halki mulayam, pyaari si,
Tumhain pata hai na …
Khawaaish tumse milne ki,
Yaaden, tumhari awaaz O alfaazon ki,
Saanson mein basti woh becheni,
Inn choorhiyon ki adhoori se aadhi, khanak,
Phir wahi purana, andhera kona,
Dhoond leti hain,
Chupti, tumse,
Tumhare yahan hone se,
Ki kahin tum unhe dekh,
Koi sawaal na kar baitho …
Jawab nahin hai mere paas,
Kisi bhi sawaal ka,
Na tumhare, na khud ke …
Phir bhi, ye’ ziddi si, dhalti shaam,
Dhoti hai, aankhon ke paani se,
Sukhati hai, gaalon ki chatt pe,
Ek seela sawal … jo tumhain shayad, nahin pata …
‘Tum toh mere ho na,
Phir kyon mere nahin ho?’

2 comments:

  1. i may not understand, but the words have music of their own...smiles.

    ReplyDelete
  2. Difficult question to answer. Kuchh kabhi hamare hokar bhi hamare nahin rehthe. Khush rahiye madam, barish ki boonden palkein yoohin nahin bhigothi :)

    ReplyDelete