Tuesday, 3 March 2015

~ Khaalis Unwaan … Tum …~



~ Khaalis Unwaan … Tum …~
Toot’ta makaan,
Hatheli se phisalta, ikhtiyaar e maskaan,
Ubharti aur behtar taur se, makhsoos khalaayen,
Sendhon mein phasa pada,
Aundhe munh, ruk ruk kar saansen bharta,
Uljha, ghabraya sa, nisbat e maqaam …
Parat parat udhadta bardaash’t e madda,
Eent eent girtin chaar-su ujdii deewaren,
Ek purani fitri seelan,
Mere wujood ko bade shauk se nigal rahii thi …
Phir uss roz,
Khuloos ka odhe taaza-tareen libaas,
Daanton mein dabaye zubaan,
Kaanp’te hue hathon se,
Gehri soch ki koochi liye,
La’parwaah andaaz mein,
Mujh be-rang ko,
Dobara se rang daala …
Kore pannon par be’shak,
Main utaarti hoon ab … tumhari,
Badan ki garmi O jumbish ko,
Tumhari shokhi,
Sargoshiyon ko,
Nadaaniyon,
Siskiyon,
Loriyon ko,
Larazti saanson,
Pighalte aansu,
Jazbaaton ko,
Tumhari bheegi muskarah’ton ko,
Kachi-pakki baaton ko,
Tumhari belaus muhabbat ki kahaniyon ko …
Aur badle mein tum,
Phoonk dete ho meri nas-nas mein,
Khud ki jaan …
Mere khayaal, mere lafzon, alfaazon mein chupe,
Kuch iss tarah hote hain main aur tum, hum-kalaam
Ki paida ho jati hoon main, ek tumhare sirf hone se …

3 comments:

  1. the quote up front makes me think for whom we write...
    wish i knew your words...smiles.

    ReplyDelete
  2. Wow! And does he know? This is a masterpiece Sadia.

    Brian- The last writes about her lover who breathed into her the spirit of life and thereby it's colors and this rhyme...

    Wow!

    ReplyDelete
    Replies
    1. Read "last" as "lady" please. I have a keyboard with a mind of its own.!!

      Delete