~
Kaun ho Tum? ~
Jawaab
Maghrebi(cursive Arabic script),
Sukhan(poetry)
naarangi,
Rukh e zaaffran(saffron)
Khuld(paradise)
si safwan(unblemished) ho tum …
Uuude
aasman ke ghilaaf(cover) mein,
Bar’aamde
ki pehnaayi(width) si,
Maanind
e khush-roo sehlaab(flood)
Khushnuma
abshaar(waterfall),
Aab
e hayat(elixir) ho tum
Mehekta
agaaz ho tum …
Bekhudi
ki ek khuraag,
Saanson
ki rawani jo rawani rakhe,
Woh
suroor e pyaas, woh khumaar ho tum …
Door
Benoor,
Khizaan(fall)
sa main,
Mayaar(scale)
e bahaar(spring) ho tum …
Garam raet mein panah’gah si,
Kya
woh hi saraab(mirage) ho tum?
Shadaab
ho, shabaab ho, mahtaab ho,
Jo
mayassar na hua mujhe kabhi,
Kya
woh hi ek jalta alftaab ho tum?
Uff
… kya lajawaab ho tum,
Khawaab
ho tum,
Khawaab
ho tum
Khawaab
ho tum …
No comments:
Post a Comment