Saturday 15 March 2014

~ Kya kahun ab kaise … ~


~ Kya kahun ab kaise … ~


Main tujh main shaamil kuch iss tarah hui,
Jaise,
Bechen ruh main Khuda,
Larazte honton pe hansi,
Tarsati ankhon main dua,
Tal’kh lehje main narmi,
Thithurte badan main garmi,
Junoon-e-rahh,
Sukoon-e-qalb ..
Aur, jo tune khud ko mujh main qaed iss tarah kiya,
Jaise,
Behoshi main hosh ka hona,
Khawaab main bhi rona,
Uljhe gesuon main hawa ka ghar karna,
Sookhi jild main nami ka sama jana,
Banjar dil main fuhaar aana,
Jaise, Registaan main bahar pana,
Bhujti aankhon ki roshni banna,
Jaise, soti shama main umeed ka hona,
Zabt-e-sarmaya,
Intezaar-e-dildaar,
Kya kahun ab kaise samaya —
Mujh main tera Pyaar, tujh main mera pyaar …
Tu hi meri jind, tu hi mera yaar …
Tu hi hai ab mera yaar …

4 comments: