Sunday, 28 September 2014

~ Ji Jenaab ~


~ Ji Jenaab ~

Surkhroo iss dard,
Aur iss dard ki jadh,
Tabiyat e dil,
Ka koi haal nahin … Ji Jenaab …
Nazaron mein ghar karte hain,
Der tal’k,
Guzar hota hai,
Jab aap ka,
Yun hi bas rukte, sambhalte,  guzarte hue …
Aur jiss roz, nahin guzarte hain,
Phir hum kya bolen … Ji Jenaab,
Bas yahin makaan hota hai,
Saaton peh’r,
Phir bhi,
Sirf aap ka …
Muhabbat,
‘Garche batayen toh,
Kaisa laailaaj marz hai?
Ki bina ehkaam e khareed O farokht ke,
Hawaas O malkiyat pe koi,
Yun qaabiz hue jata hai …
Hum bhi hum hua karte they kabhi,
Yaqeen jaaniye,
Aap ke yak guzar se pehle … Ji Jenaab ……

3 comments:

  1. I don't fluently understood this, but from what I do, your Urdu poetry always sounds like music to my ears :)

    ReplyDelete
  2. Can't read this one on my handheld :(

    ReplyDelete