Sunday, 21 September 2014

~ Mujhe nahin pata … ~


~ Mujhe nahin pata … ~
Bheed mein ghutan,
Becheni akelapan si,
Kho dene ka darr,
Dhoond laane ki kul’bulahat,
Ek lamhe mein simt’ti,
Bikharti saanson ki tapish si,
Zarra zarra ho jaane ki chahat,
Zyada, bohot zyada, khilti muskurahat,
Har sheh pe bhaari hoti,
Ghulti hui ‘kuch nahin’ mein,
Woh ek cheez,
Jiska naam, mujhe nahin pata …
Ek arrse se dhoond rahi hoon,
Tumko? Usko? Ya, shayad, khudko …
Mujhe nahin pata …
Qalb ki gumnaami ko kuredti hui,
Bas ek zidd si taari hai,
Muqammal karne ki,
Uss adhoorepan ko, jiss ki jaden gehraiyon tal’k hain,
Jiss ki maujoodgi, kab se ehsaas dila rahi hai,
Khud ke hone ka,
Par, ziist ke kis kis goshe mein,
Woh qayam karti hai,
Mujhe nahin pata ...
Main khoti si jaa rahi hoon,
Jitna dhoond rahi hoon,
Kya dhoondti hoon?
Sach, mujhe kuch nahin pata ……
Ab lagta hai jaise,
Bohot door nikal aayi hoon,
Khud ke ehsaas e maujoodgi se,
Aur wapas bhi nahin jaana hai mujhe … Khair …
Kabhi jaan paayi, khud bhi,
Toh yaqeenan bataungi,
Jab milungi tumse,
Chai ki pyaali si garam, nazuk, aur kareebi,
Mulaqaat pe,
Guf’tugu theh’regi, zara zara,
Boondon si, saanson ki,
Jism ke mehen’ge maheen kaanch pe …
Tum toh mera intezaar karoge na?
Tum ne ek dafa kaha tha, mujhe yaad hai ……

1 comment:

  1. Just Lovely, A G+ for your post and have a Nice day. . . :)

    ReplyDelete