Wednesday, 3 June 2015

~ Ek baat bolun? ~


~ Ek baat bolun? ~
Unchi heel nahin hai pasand mujhe,
Mere paanv dukhte hain bohot
Tabhi toh ghar aate hi
Utaar phekti hoon
Aur thande paani mein daal leti hoon kuch der
Paanv apne …
Mujhe jism se chipke,
Chust kapde bhi nahin pasand
Saans lena bhi pahad sa lagta hai
Aur yaad aata hai apne ghar ka araam …
Mujhe toh pasand hai,
Nange paanv ghoomna
Jis wajah se roz daantte ho tum mujhe … hain na?
Pehenna chota, phata, gulabi-peela pyajama apna,
Aur hari wali ghisi-purani dheeli kameez tumhari
Do din na nahana
Aur baal na banana
Sirf munh dho ke mast rehna
Mujhe toh ye pasand hai
Khud ko khud sa aayine mein dekh pana …
Aur tum kehte ho, tumhare liye main sanwarti nahin
Ye kyon nahin kehte,
Tumhare saamne main koi aur banti nahin?

1 comment:

  1. I am going to read this one in our next poetry meetup. This is so original. Sadia Zindabad

    ReplyDelete