Friday, 3 May 2013

Kuch yun hi...





Ziddi patang si naazuk tehniyon main uljhi padi hai,
Kambakhat aisi ja fasi, na udati hai, na katti hi hai …


~Woh na mera hua, na khud ka hua,
Hua  tha jiska, woh hi uska na hua!~


Uljhi zulfen badhawaas nazaren hosh faakhhta
Fir alvida keh gaya beeti raat khawab main aake…

Kuch yun hue rubaroo zehen ki sachaiyon se,
Ki ab mukhtalif behoshiyan azeez ho chalin…

Kuch yun huin benakab zehen ki sachaiya,
Ki ab mukhtalif behoshiyan azeez ho chalin…

Sanjo rakha hai dil ke konon main alfazon ko,
Ki koi unsuni baat abhi baaki hai..
Kisse nazaron se bayan hua karte they kabhi,
Ab zuban pe aayi baat bhi be-maani hai…

Ek muddat se dar-o-darwaze khole baithe hain,
Suna kiye ki band dar aahton ko pee sa jaate hain...

Ek muddat se khule darwaaze se simte baithe hain,
Ki band dar tere aane ki aahat ko pee sa jaate hain…

Zindagi ne hazar gham diye,
Humne likh likh ke kam kiye..
Katra katra tapka, syahi ka rang liye,
Khoon-e-dil se kissa-e-haal likh diye..
Bojhil gar Karen, fir kaed kyon rahen,
Haawi jo hon, soorat-e-alfaaz hone den...

Tera aana hi kisi khawaab se kya kam tha,
Ab tera jaana bhi miraaj ka guman deta hai…

Nahin fursat yaqeen maanon humain kuch aur karne ki,
Teri yaaden, teri baaten bahut masroof rakhti hain...

Ki dekh teri Inteha-e-wafa ne kya haal kar diya,
Be-wafaaiyan teri chokhat pe sijda ab karti hain…

Mehek uthegi qabar bhi marne ke baad meri,
Teri Khusboo ne kab saath mera chorha hai…
Gar poochen log, Karen sawal mere bare main,
Bas yunhi muskura dena har baar ki maanind,
Ki bada sukoon meri rooh talak pohnchega…


Hai yaqeen uski har baat, har wafa, har waade ka,
Mila hoga hum se haseen, jo yun bhoole baitha hai …
Hua kuch yun asar is dil ki kashmakash ka zehn-o-zindagi par,
Yaqeen maano humain bhi jeene ka hunar bakhoobi aata tha...

Tujhe chahna hai gar nasaaz gunah teri nazron main,
Sazaye maut ke hai qabil ki yeh ab har pal hi hota hai…

Nighaon se pilana ek muddat tak kaam tha apna,
Phir hua yun ki uski baton ka nasha ab tak haawi hai…

Ruswaiyan hain, betabiyan barbadiyan aur tanhaiyan bhi hain,
Suna hi karte they mohabbat kisi badnaam shey ka naam hai...

Zindagi ko ab bas teri hi aarzoo hai,
Tere aane talak hi mohlat di hai saanso ko...

Jurrat ki hai tujhe chahne ki,
Sazaaye maut bhi ab kam hai…

Hum khwabon ke gulistan se alfaaz chunte reh gaye,
Tune yahan humari khaamoshi ke afsaane bun diye…

khushboo aur chand yaadon ke siva ab kuch na baaki hai,
Yaqeen na aaye to iss zehen-o-jism ki talaashi le lijiye…

Tujhse hi hai mera wajood, tu nahin toh main kahan,
Khudko pane ki justuju main dekhenge inteha khushfehmiyon ki…

Dar badar dar dar phire, bedar ishq ka bhoj lekar..
Maye ke pyaalon main dooba kiye,
Shab-o-roz bas yun hi jeekar
Sharab jab gham ko pee na saki,
Ravan ho chali nason main khoon bankar…

Bada hi shauk ho chala hai iss dil ko thokar khaane ka,
Tadapta hai, sambhalta hai, phir tadapkar sambhal jaane ko..
Har berukhi bhi teri ab isko apni si lagti hai,
Nadan hai ki tere zulmon ko bhi tohfa samajhta hai…

Kisi bache ke maafiq aaj bhi dil zidd par ada hai,
Tujhe chahna hai aur bas tujhko hi chahte rehna hai…



                   *****Sadia*****


7 comments:

  1. Mashallah Sadia...! Ek ek alfaaz dil mein utar gaya. Kitna khoobsoorat likhti hain aap...!

    Aapki kalam salamat rahe...

    Hugs,
    Dagny

    ReplyDelete
  2. Wah re wah!! Bahut acha hai <3 The poem is as beautiful as you :*

    Hugs!

    Keep writing dear :)!

    ReplyDelete
  3. I read it very slowly, 'cause each line has to be savored till the very end ... every line stands on its own, and together they make such a beautiful monument.

    I don't know what to say here. I won't comment much. Infact, I can't. I am still too intoxicated with the magic of these words.

    "Kisi bache ke maafiq aaj bhi dil zidd par ada hai,
    Tujhe chahna hai aur bas tujhko hi chahte rehna hai…"

    Awesome ... one of the best poems, in any language, I have ever read, anywhere !!!

    ReplyDelete
    Replies
    1. Was I missing this...ofcourse, I was....the downpour of praises from you drench me from head to toe....making me jump in overwhelming joy ...thankssss a lot :)

      Delete
  4. Bahut accha likha hai sadia...I realy love it and try to Read you Everyday from Today_shyam

    ReplyDelete