Tuesday, 7 May 2013

Kuch yun hi....:)




~ Woh khaali kona bhi bharta sa mehsoos hota tha,
Muhabbat se jab jab tune hath rakha mere seene pe!

Every void seemed filled, those chasms were bridged,
Warmth of your soft palm, when embraced my chest! ~


~ A dream I lived, as you came to my town,
Your sojourn my land, a mirage, is it not?

Tera aana bhi kisi khawaab se kam na tha,
Tera therna bhi saraab sa gumaan deta hai … ~


~ Ziddi patang ki uljhi tehniyon se, boliye kab pati hai,
Udana hai behad pasand usse, par phas kar sirf kati hai ..

Jo kate, kamzarf hawa ka haal e itminan phir dekhiye,
Ek barbad, to duja abad, baat ye patang ne bhi rati hai …~


~ They would ‘sigh’, when imprisoned is soul,
Why should they ‘sigh’, an enlightened soul ? ~
~ Na nikle dum, toh bhii 'aah' nikle,
 Jo nikle dum, phir kyon 'aah' nikle? ~


~ Daira ufaq pe baithe they, kuch surmai safed kabootar,
Seh-paher Mah jaga hoga, zaroor gutargun ki awaaz se ..

Mahtaab ke shabab O Shadab ke, jo charche har taraf hue,
Kashish madham padi aaj, ghusalkhane se aati awaaz se … ~

~ Ulfat e tarteebi, adaawat e mijaaz,
Jaan se gaye hum, tameez zinda rahi! ~

~ Jab bhi tujh main ghultin hoon,
Tab hi khud main ubharti hoon ..
Tu hi aaina, tu hi Jana aks mera,
Sarmaya 'gar, yun mehfuz hoon!


***Lover has been called a mirror, and hence, it says - Dissolving (looking) into you, lets me find myself (my image) ... You're the mirror, even my image (the reason of my existance) is you ... And if, I'm your wealth, I'm safe (as an image) in you ... ~


~ Qiwaam e muhabbat, chidak de yun tu mujh par,
Faqat jild bhi ‘gar chooye, meri qabar tak mahkegi  … ~



~ Sakoot harf awal, yun hi toh nai bane hum,
Apki aghaz-parwaaz thi, aur dhool hue hum … ~

~ Ikhtiyaar e tawaze ikhtilaf e Qaida e ishq yun kar,
Do ghadi ko tu ruthe, do sadi main tujhe manaun … ~



~ Tera jamaal e rukhsar, aur mere shaane pe bikhare tere baal,
Uff, ki reh reh ke meri zabt saadh ulfat, barhena hue jati hai! ~

~ Mujtahid rahi shuru se hi tafseeran e muhabbat ki,
Tu aaj bole hai ki mere unwan main bhi khot tha … ~


~Kabhi toda, kabhi joda, dil behla ke phir chorha wahin,
Pooche hai shab-o-roz ye aaina bhi, ‘Tu khilona to nahin?’~

~ Jis pechidegi se tu ne mujhe khud main uljhaye rakha hai,
Uljhe gesuon ko suljhana hi ‘gar kab kya asaan tha? ~


~Ek do misre sukoon-o-roshni ke dil gunguna le jaldi,
Waqt kam hai, andhera hote hi ghar ko lautna bhi hai!~

~Iss chaand se keh do ki yun shararat na kare,
Phir log kahenge ki aashiqon ko satati ho..

Uss hawa se kaho ki kuch aahiste chale,
Phir aashiq kahenge ki aanchal yun udati ho..

Kasam hai unn sarsarati tehniyon ko bhi,
Yun sarsara kar mujhe badnaam na karen..

Bol dena qadmon main charmarati pattiyon se tu,
Bikhri aabru ka tamasha yun sareaam na karen..

Phir tu fusfusana kanon main machalte khawabon ke,
Kehna ki, har ada ko behlana ab mere bass main nahin!~


~Woh khaali kona bhi bharta sa mehsoos hota tha,
Muhabbat se jab jab tune hath rakha mere seene pe!~


~Takbeer-e-arzoo hai, sun le ae musaafir,
Jo behed lamba safar hai toh aaj theher ja..

Iss basar uss shahar, na tera koi thikana,
Ek adh lamhe ki neend ko tu aaj yahin theher ja!~



~Hai kuch aisi sifat mere pyaar ki,
Be-lahu mujasma hi usko azeez hai..

Apni bebaak pasand par bhi hai usko naaz,
Kehta hai ki ek wohi toh har waqt kareeb hai!~

~Kab tak khush-mijaazi ka naatak main karoon,
koi badal hai ki kab tak aansun ab piyun?

Jo takmeel ho jaye uss ujade khawab ki,
Maut ko yun aodun, sukoon se main bhi soun!~




~Benaam Shayar ne bhi kya khoob tamaasha-e-kamaal kiya,
Bezubaan Shaayari shor karti rahi aur woh phir bhi chup raha…~

~Kyon aaj raat chaand se mehsoos hote ho,
Kuch peele kuch sard safed, aur utne hi door…~


~Chahna, na chahna, zayaar't-e-itmenan ka khel hai,
Fursat mili 'gar zindagi se toh zaroor khelenge…~


~Lutf ab khud ki saanson ka hum yun le rahe hain,
Gila rahega jinse ta-umar, unki khatir jee rahe hain...~


~Muhabbat ho hi jaani thi,
Zara ittefaaq jo rakhte
Yeh doori bhi mitt jati,
Silsila-e-mulaqaat toh rakhte~

~Koi keh gaya usko bhool jaane ko
Saans lene ki ada bhi ab yaad nai
Usse door jaane ka ajar ab dekhiye
Jaagte hue katin bezuban raaten kayi
Ki uske naam ke qaseede padha karte
Tasveer-e-sanam paas na toh na sahi…
Ki rakh rakhi hai
Dil ke aayine main tasveer-e-yaar
Jab zara gardan jhukayi, dekh li…~

Dekhenge aazma kar tujh ko bhi
Aane de daur-e-muhabbat kabhi!

Unki tang-dili ka andaaza yun hua humain
Woh tooti hui sadk aur chand chithde hue dil
Kal jo shaakista  they unke kadmon tale

Sisak rahe hain pevand sile kapdon main!

Woh hi raat, ek baat, aur chand malmal se khawab

Koi eklauta  harf agar gum hai, toh woh tum ho




Takiye ke aagosh main ab neend aa toh jaati hai,

Tere jism ki garmi ko bas yeh khawab taraste hain


Ek kaali syaahh raat aur kuch bikhare hue khawaab,

Marti hui muhabbat mere naam vasiiyat likh gayi...

Hai mera aks bhi sheeshe main machalta hua maghroor sa,
Gumaan ho chala hai isko, tujhsi adaayen woh bhi paa lega…

Pooche ab saya bhi ajnabiyon se naam-o-pata khud ka,
Ki maalik hi gumm ho chala hai yaadon ki galiyon main…

Bazar-e-muhabbat ki inteha-e-masroofiyat toh dekhiye,
Khabar nai padti aur khawaab bik bhi jaate hain…

Bohot masroof rehte hain, nahin fursat saans lene ki
Ehtraam-e-mohabbat hai, ki palken uthh nai saktin…

Hai ye ittefaaq ki hum donon ke khayalat kitne milte hain,
Maine tujhko hai chaha, tune bhi sirf khud ko hi chaha…


                                     *****Sadia*****

9 comments:

  1. Simply nice.........

    ReplyDelete
  2. ok, help me out here...i ran it through the translator and could not get it to work...can you give me a language so i can try again? would love to read it...

    ReplyDelete
    Replies
    1. Lolz...Brian its in urdu language...wish you could read them...tell me how can I help you read, would be glad :)

      Delete
  3. It's such a pleasure to read your Urdu poems. They serve as refreshments for tired minds and heals them with their innocent melodies. This one again, is a real gem, untouched and pure, that goes deep into the soul. To come up with something like this, time and again, is unbelievable. Waiting for more :-)

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks buddy..your words definitely give me the boost I require :)

      Delete