Sunday, 12 July 2015

Kaise so paoon?


Kaise so paoon?

Shaamon ke dhalte hi,
Ziist se liptin, murjhayi daalen
Falta hai jinpe, chehra uss shaqs ka
Jisse ab nahin hoti mulaaqat
Uski naram awaaz, teekhe andaaz
Baraf sa jama dene wali daant
Kaanon mein pighal kar,
Seene mein jazb hoti, naseehaten uski
Lagti hain, zyada garam aur taazi si ...
Champa aur mogre ki khushboo-en,
Raat ki godd se nikal bhaagti hain,
Aur hansti, thitholiyan karti
Mere khamosh kamre mein,
Aa dhamakti hain!
Aur phir Kya bala ka naachti hain,
Sannate ki paazeb pehankar ...
Odhe khadi deewaren, chaandni ka joda,
Jo chaand ne silwaya tha peechli eid par
Geela aur namkeen ho jata hai
Aur chaand khoob naraaz!
Main wahin farsh pe tukda tukda ho,
Bikhar jaati hoon … jaane kyon ...

Tab... neend mein oongta ek sitara
Gusse mein kyon kar budbudata hai?
'Ye kuch aur nahin, bas
Maazi ke zinda hone ki
Alaamaten hain!
Ja so ja, aur mujhe bhi sone de,
Kam se kam aaj toh!'

No comments:

Post a Comment