Wednesday, 30 April 2014

~ ‘Maiy’ ~


~ ‘Maiy’ ~

Khaali sadak ki becheni liye,
Ek ghafil soch sa dastakhat,
Puraasta rukh e mazmoon pe ..
Kam harfi bhi thi kuch yun,
Us kore kaagaz ke seene main,
Aagzada hua ho ‘Maiy’-kadah,
— jaise — koi —
Aur, Jalaane wale ki maslihat,
Faqat tardaaman e khaaksaari ..
— aur fanaa kaun? —
Khud ka takabbur e burdabari,
—aur shaidaai? —
Ek taza tahzeeb si, qulqul karti,
Zauq e khumari, kamsin ‘Maiy’!




***Puraasta – Decorated
Mazmoon – Essay
Maslihat – cause/logic
Tardaaman – Guilty
Khaaksaari – Humbleness
Takabbur – Arrogance
Burdabari – Endurance
Shaidaai – Destroyer
Zauq - Taste

Monday, 21 April 2014

~ Benaam Ghazal ~



~ Benaam Ghazal ~

Uudi gulaabi, ishq e khumaari,
Aab si chanchal, na sanjeeda —
Takhallus e bekhudi e jawaani ..
Imkaan e muhabbat, shuru hi thi bas,
Tasdeeq e khaatma, tu ne kar dali …
Perwerish e naqsh e qadam phir tera,
Guncha e yaad yun kar maine sanjoya,
Naqaabile tawaj’h gosha e dil mera,
Raiza e alfaaz hanoot hue wahin pe,
Jo haqeer O nakarah they abhi talak,
Kitni hi unkahi soz tehreeron main se ..
Bayan they kabhi nargisi nigaahon se,
Yak jhoote yak sache hazar dilshad kisse,
Par dekh — aaj numaya nai hoti hai ye,
Zuban pe aayi meri guftagu e ehem bhi ..
Tu matla, tu maqta, radeef, qaafiya bhi tu,
Benaam ghazal hona — meri bas kahani!





Hanoot – Embalm (as in Mummification)
Haqeer – Insignificant
Numaya – Significant


Friday, 18 April 2014

Khilona?




Khilona?


Toda kabhi, joda kabhi,
Bun pakke gujashta afsaane mere kaaghazi qalb pe,
Dil azari kar bhehlaya khudko, aur phir — chorha wahin,
Pooche hai ab shab-o-roz,
Yun chedti sui, udhade dhaage, paywand-e-maazi,
Aur, mera ye aaina bhi, ‘Dekh, ki tu — khilona to nahin?’
Hilta hai ab purza purza,
Jodun khudko kaise, kyon kar dikhti hai sachi silai?
Mita doon jo main ye nishan bhi, ‘gar — phat na jaaun kahin!

Wednesday, 16 April 2014

~ Adhoori si ~


~ Adhoori Si ~

Tishnagi hai tujh se,
Adawaten kyon mujh se?
Aatishain hain harsu,
Ba-ranjish tere falak pe ..
Rehta hai musht-e-ghubaar,
Faryadi sa iss fiza main ..
Maausam-e-bekasii ho,
Dayaar-e-dasht nafas main ..
Miraaj-e-ulfat main bheega,
Thoda laal, zyaada sa neelaa …
Nichod de tu mere dil ko,
Qatra qatra tapkega jo,
Raqeeb woh lahu sa,
Kareeb jo kabhi hua tha ..
Jazb be-awaaz kar yun,
Meri khalish si bahaal,
Shadaabee Rooh-e-mitti main ho …
Tark-e-bazm — main — adhoori si …
Furqat ke lamhon main, tab
Hayaat ho uthega wahi waqia bhi phir yun — Jab
Zameen-doz — main — fatiha odhe — safed libas pehne,
Ban kar mitti ki makhsus humkhayal,
Ja milungi gale, habeeb si main ..
Raghen meri hongi saraabor phir tujh se ..
Ki — beshaq — adawaten hon mujh se,
‘Gar tishnagi jo tujh se,
Hoon muqammal main phir kis se?

Saturday, 12 April 2014

~ Bazaar ~


Picture Courtesy: Google Images

~ Bazaar ~

Muhabbat ke Bazaar main, purshokh maal phir mil jaye,
Di dua aaj tujhe, na mujh sa dil e behaal phir mil jaye ..

Aaj ki shaam phir nikal tu, nigaahon ko taraashe yun,
Ki unn fankaar ankhon ko bazm e nihaal phir mil jaye ..

Humnawaa, humnafas, humsaaz, humsayaa, mah e ziist,
Naamon se kya raabta, jab zarf e ‘bawaal’ phir mil jaye ..

Koyal ki kook, Mor ki hook, na hai tujhsi Awaaz kahin,
Sur ko kas aise, Ae Saaznawaz, tazadam taal phir mil jaye ..

Neendon ko jhulsaati tez dhoop main, phunke Bazaar toh kya?
Dukaanen yunhi sajengi, jo baais e tark e kamaal phir mil jaye!

Sunday, 6 April 2014

Sadia




~ Aab-e-hayat yun bane,
Choome jo tu, iss tishnagi ko ..
Jism aise zarra zarra ho jaye,
Bechen rooh bhi phir, azaad ho!

Pour me thou, will ye, water of life,
My thirst, if kissed, would also die ..
Body, too, shall repose in specks,
Soul, aflutter, would – hence, fly! ~

Thursday, 3 April 2014

~ Beti ~



~ Beti ~

Murshid-e-munawar,
Ankhon ki chamak o nami teri ..
Marhaba, marhaba habibi,
Haye, ye teri gulaab si hansi ..
Muntazir-e-Pechidegi,
Peshaani ki silwaten meri ..
Shadaab-e-gul, zard narangi,
Kilkariyan teri, athkheliyan bhi ..
Hawa-e-zarf, badi door talak,
Raah takti hai pasheman rooh meri ..
Darna mera khabt, hai alag tarjumaani koi?
Beti ki pedaish, yahan, alaamaat-e-musiibat hi!

~ Main Yahin Hoon ~


~ Main Yahin Hoon ~

Palat ke na dekhungi,
Sookhe patton sang udd ke,
Teri muhabbat ko kadmon tale,
Masalti, peesti, chali jaungi,
Bola tha uss roz, tesh main aakr ..
Saal dar saal, kitne pattjhad hue,
Main wahin — yahin — khadi hoon,
Patton ko haathon main samete,
Sehlati, sawanrti, wapas lagati,
Girne pe sambhaalti, phir se lagati,
Intezaar main hi toh khadi hoon,
Tune kaha tha, ‘main yahin milunga’ ..
Na tu hai, na dhoop main ubharta tera saya,
Bheegi, doobti saansen main churaati,
Geeli mitti ko kuredti, yaaden chunti,
Kab se teri raah tak rahi hoon,
Tu kahan hai?
Ae Ishq mere, tu kahan hai?
Main yahin, sookhe patton main ghiri,
Narm bhoori zayray-zameen aahon main lipti,
Nahin, main soyi nai, bas tere vaaste hi,
Kab se jagi hoon …
Dabi hoon, par … Kab se jagi hoon …
Tu kahan hai?