Khilona?
Toda
kabhi, joda kabhi,
Bun
pakke gujashta afsaane mere kaaghazi qalb pe,
Dil
azari kar bhehlaya khudko, aur phir — chorha wahin,
Pooche
hai ab shab-o-roz,
Yun
chedti sui, udhade dhaage, paywand-e-maazi,
Aur, mera ye aaina bhi,
‘Dekh, ki tu — khilona to nahin?’
Hilta hai ab purza
purza,
Jodun khudko kaise, kyon
kar dikhti hai sachi silai?
Mita doon jo main ye nishan
bhi, ‘gar — phat na jaaun kahin!
Amazing! It conjures the image of a puppet doll on a string. Who knows what the mater puppeteer has in his mind?
ReplyDeletePuppet dear... You take care. Dhage acchhe ho tho hum hai aur thum ho :) Dance tho zindagi hai.