~ Main Yahin Hoon ~
Palat
ke na dekhungi,
Sookhe
patton sang udd ke,
Teri
muhabbat ko kadmon tale,
Masalti,
peesti, chali jaungi,
Bola tha
uss roz, tesh main aakr ..
Saal
dar saal, kitne pattjhad hue,
Main wahin
— yahin — khadi hoon,
Patton
ko haathon main samete,
Sehlati,
sawanrti, wapas lagati,
Girne pe sambhaalti, phir se lagati,
Intezaar
main hi toh khadi hoon,
Tune
kaha tha, ‘main yahin milunga’ ..
Na tu hai, na dhoop main ubharta tera saya,
Bheegi,
doobti saansen main churaati,
Geeli
mitti ko kuredti, yaaden chunti,
Kab se
teri raah tak rahi hoon,
Tu
kahan hai?
Ae
Ishq mere, tu kahan hai?
Main yahin,
sookhe patton main ghiri,
Narm bhoori
zayray-zameen aahon main lipti,
Nahin, main soyi nai, bas tere vaaste hi,
Kab se jagi hoon …
Dabi hoon, par … Kab se jagi hoon …
Tu kahan hai?
No comments:
Post a Comment