Friday 20 June 2014

~ Deewani main teri … ~


~ Deewani main teri … ~

Ho na jaun yun sawaali main ab teri,
Baaw’la jiya, uss ko tujh pe gayi haari …
Ankhiyan ki simat’ti putliyon si meri,
Tujhe dekh ghabrai, tujh se hi sanw’ri,
Jaye deewani teri, tujh pe sadqe vaari …
Hoti jaati hun tujh bin kaisi khaali,
Kaahe na bhare ab meri sooni jholi?
Barsa de tu, do mehki boonden prem ki,
Bheeg jaun main sir se paun tak saari …
Udne ke liye surkhab ke pankh paati,
Chorr falak ka pakad tujh tak laati,
Ishaara jo jhoota hi kar deti palkhen teri,
Chaahe tu ne mukh se na bhi ho boli,
Jeena kya, main tujh pe hi jaati maari …
Baadalon ko chunti, qalam main piroti,
Nichod deti unko, ansuon se unke likhti,
Dhed teri kahani, aur apni adhi adhoori …
Prem-ras ghol ke, jo main syahi bana paati,
Saare kore pannon main tujh ko likh jaati,
Sondhi ek chahat hai tu sainya ve, meri,
Deewani hui main kab ki sirf, o’re teri …

1 comment:

  1. wonderful picture with this one...i will assume its about love/intimacy...smiles.

    have a most wonderful weekend sadia....

    ReplyDelete