Sunday, 13 July 2014

~ ‘Gulab’, ek asmat frosh(prostitute) ka naam … ~



~ ‘Gulab’, ek asmat frosh(prostitute) ka naam …  ~

Phoonka tha jab byaar ne,
Tehniyon pe, oss ki,
Lams e shuaon se,
Jo kamaal hua … bemisaal hua …
Husn e arq e gulab O laali,
Jaana, woh tum ho … haan wo’ gulab tum ho ..
Aasmanon ko dekh tum muskayi,
Khilta shabnami dekh, rahat maine payi ..
Main pankhudi hua, tum se judi … sehmi sharmayi udi udi ..
Ek kirchan tumhare bikhre shabab ki ..
Malmal ke bistar pe jo naqsh hain,
Pichle paher ki tumhari jalti karwaten, tumhari seeli neenden,
Woh silwaten mujhe tasleem hain … jaan O azeez hain ..
Shokh, gulbadan, naazukiyat, dilnashiin, uljhan e nafz, ulfat e jaan
 … aur kitne t’aaruf… kitne naam …
‘Gulab’ se hi diljale Sarifon(customer) ne sirf na tumhe pehchana …
Taraashen, chaaten, kaaten, baaten tumhen,
Rukh pe thehri nazr e gulfam(Gardner), ghaafil musafiron si ..
Gulaal sa jism ye,
Aagosh e naseem(breeze) main, bosa(kiss) e mausam liye,
Dhundlake(twilight) main nikharta hai … sanwarta hai dhundlake tak ..
Na choo kar bhi tujh se gulab hoon, lajawaab hoon,
Ye jawaab kyon ba-asaani milta hai?
Chidakta hai, chadta hai khoob ye rang, kyon sab pe?
Ye bhi ek bada hi zinda misaal e malaal hoon … main …
Uff … muhabbat e gulaal e ‘Gulab’ nai …
Rawayat(tradition) prast kirdaar,
Faqat murawwat e b’azaar,
Asmat froshi(prostitution) ka ek adad kharedar hoon main …..


3 comments:

  1. I smell roses when there are none here
    smelling smoke without a burning flame
    might as well be smelling cow manure
    to me it's all the same
    tonight it's all the same....

    ReplyDelete
  2. happy monday sadia....
    breathe deep that flower...

    ReplyDelete
  3. Wow...how beautifully you have wrapped nakedness of Asmat Farosh... I read it again and again to understand its depth...Salute...

    ReplyDelete