~ Mujh sa tu
… ~
Kaun hai tu?
Na thi kabhi tujh se yun ru-ba-ru ..
Saheli nahin koi,
Na humshak’l,
Humum’r,
Humsaya,
Aur .. na hi humra’h ..
Haan, shayad .. humraaz hai tu,
Meri
har ulfat, husn e nazar, har raqabat ka,
Har
nafrat, ruswai, har kamtari ka,
Chashmadeed
bana hai tu, meri har sulagti khawahishat ka,
Un se
uthte gehre surmayi dhuen ke bhanwar e ghubar ka …
Sadiyon
si doori hai hum main .. meelon ka sa faasla …
Hai tujhe taaron ki chahat, mujhe chaand se lagaav,
Par jab bhi yakayak, tees si uth-ti hai, nihaarne ki
falak ko,
Woh jo
hai unn aasmanon pe, meri bheechti deewaron ke pare,
Teri
aankhon se dekh leti hoon … Sab kuch … ufaq talak …
Baaten
teri keh jaatin hain aksa’r,
Patharon
ko aanchal ke oat main samet-ti sehlati nadi ki kal-kal,
Jhurmut
main baithe jhinguron ki, madh’m jhayen jhur jungle se,
Kachhi
neend se jabran uthe kisi janwar ki kulbulah’ti angrhayi,
Raat
ki godd main apna basera chorhti chidiyon ki teekhi pukaar ..
Par, phir wahi kaundhata sawaal, hai kaun tu ?
Kaise sun leta hai tu meri kahi,
Bina
mere kuch bole bhi …
Nahin, pyaar nahin hai tu,
Phir
bhi kyon paati hoon tujhe har su?
Kab
ban gaya, baghayr aiana ke, mera aks,
Jaise
dhoop main bilakhti rooh ki pehchaan,
Parchaayin
meri tu, jhulse akelepan ki, adhoori chaanv main bhi …
Tu mujh sa, main tujh si — aisa hai kya kahin likha … taaron
pe ?
Tujh se aati purkhez sada ne, itna hi mujh se hai kaha —
Baakiyon
ke jaisa, tere saath main ‘shor’ nahin,
Dil ki
gehraiyon ko, tar kar jaane wala, ek ‘sukoon’ sarabor hai …
Tu jo
bhi hai … sunn zara … bas ab kabhi kahin khona nahin ……
happy tuesday to you....
ReplyDeleteyour words sound lovely...smiles.
mei kon hun kya hun koi pooche to sahi-it sitara hun-abhi hun abhi nahi-anjum- aap ki shairi bohat sunder or man ko bhaane wali hai
ReplyDeleteIt is you. Ek aur pehlu. Beautiful write.
ReplyDelete