Tuesday 1 July 2014

~ Mujh sa tu … ~


~ Mujh sa tu … ~

Kaun hai tu?
Na thi kabhi tujh se yun ru-ba-ru ..
Saheli nahin koi,
Na humshak’l,
Humum’r,
Humsaya,
Aur .. na hi humra’h ..
Haan, shayad .. humraaz hai tu,
Meri har ulfat, husn e nazar, har raqabat ka,
Har nafrat, ruswai, har kamtari ka,
Chashmadeed bana hai tu, meri har sulagti khawahishat ka,
Un se uthte gehre surmayi dhuen ke bhanwar e ghubar ka …
Sadiyon si doori hai hum main .. meelon ka sa faasla …
Hai tujhe taaron ki chahat, mujhe chaand se lagaav,
Par jab bhi yakayak, tees si uth-ti hai, nihaarne ki falak ko,
Woh jo hai unn aasmanon pe, meri bheechti deewaron ke pare,
Teri aankhon se dekh leti hoon … Sab kuch … ufaq talak …
Baaten teri keh jaatin hain aksa’r,
Patharon ko aanchal ke oat main samet-ti sehlati nadi ki kal-kal,
Jhurmut main baithe jhinguron ki, madh’m jhayen jhur jungle se,
Kachhi neend se jabran uthe kisi janwar ki kulbulah’ti angrhayi,
Raat ki godd main apna basera chorhti chidiyon ki teekhi pukaar ..
Par, phir wahi kaundhata sawaal, hai kaun tu ?
Kaise sun leta hai tu meri kahi,
Bina mere kuch bole bhi …
Nahin, pyaar nahin hai tu,
Phir bhi kyon paati hoon tujhe har su?
Kab ban gaya, baghayr aiana ke, mera aks,
Jaise dhoop main bilakhti rooh ki pehchaan,
Parchaayin meri tu, jhulse akelepan ki, adhoori chaanv main bhi …
Tu mujh sa, main tujh si — aisa hai kya kahin likha … taaron pe ?
Tujh se aati purkhez sada ne, itna hi mujh se hai kaha —
Baakiyon ke jaisa, tere saath main ‘shor’ nahin,
Dil ki gehraiyon ko, tar kar jaane wala, ek ‘sukoon’ sarabor hai …
Tu jo bhi hai … sunn zara … bas ab kabhi kahin khona nahin ……

3 comments:

  1. happy tuesday to you....
    your words sound lovely...smiles.

    ReplyDelete
  2. mei kon hun kya hun koi pooche to sahi-it sitara hun-abhi hun abhi nahi-anjum- aap ki shairi bohat sunder or man ko bhaane wali hai

    ReplyDelete
  3. It is you. Ek aur pehlu. Beautiful write.

    ReplyDelete