~ Jaal … ~
Woh,
Ya, uski
eklauti parchayin,
Ya,
shayad, donon hi,
Hath main
donon ke,
Maheen
jaal,
Koshish,
Dhoop ke
bache khuche,
Mote
chote tukdo’n ko,
Faansna,
Bandhana,
Peeche, cycle ke,
Aur, ghar
le jaana …
Shayad
apne seelte mansokh(obsolete) maskan(home) ke jaanib,
Woh ya uski eklauti parchayin, ya donon hi,
Sukhana chahte honge,
Kone main
padi girya(sorrow) se geeli, lakdiyon ko,
Behadd
ranjeeda(wretched) chulhe ki,
Saekna
hoga kanse ke, munafiq(hypocrite) bartanon ko,
Jo ek
muddat se kaayi khaa rahe hain,
Ranj(grief)
main badzaar(evil) hue ja rahe hain …
Tabeeb(healer)
banana hoga, papdhati deewaron ka,
Jo khuraag se batil(nullify) kar de, haqq(truth) ko,
Sabz ghafilana, kitna dil-paziir(pleasant) lagta hai na …
Dho dena chahte honge, apni bekali(restlessness) ko,
Uski zara zara si pighalti garmahat main,
Araasta(adorn)
ho jayega sadaf(shell) e gosha taki …
Kehte hain
ghurbat ki sifat(condition),
Tajaahul(pretense) e taqreeb(festival),
Kaafir ka kufr,
Sawaali
ka sawaal hai,
Shaanon
pe rakha, sayyad ka jaal hai …..
Kashakash(tug) e raqeebana(adverse) haal hai ….
Phir
kya … iraadat’n ussne ya uski parchayin ne, jaal phelaya,
Par, ek
door chamakta sunhara gola, phir se usse nigal gaya …
Dhoop
ke tukde, zameen pe ja gire … bikhar gaye …………
……….. woh
aur uski parchayin, phir khaali hath laut gaye!
No comments:
Post a Comment