Monday 23 March 2015

~ Kaun ho Tum? ~



~ Kaun ho Tum? ~

Jawaab Maghrebi(cursive Arabic script),
Sukhan(poetry) naarangi,
Rukh e zaaffran(saffron)
Khuld(paradise) si safwan(unblemished) ho tum …
Uuude aasman ke ghilaaf(cover) mein,
Bar’aamde ki pehnaayi(width) si,
Maanind e khush-roo sehlaab(flood)
Khushnuma abshaar(waterfall),
Aab e hayat(elixir) ho tum
Mehekta agaaz ho tum …
Bekhudi ki ek khuraag,
Saanson ki rawani jo rawani rakhe,
Woh suroor e pyaas, woh khumaar ho tum …
Door
Benoor,
Khizaan(fall) sa main,
Mayaar(scale) e bahaar(spring) ho tum …
Garam raet mein panah’gah si,
Kya woh hi saraab(mirage) ho tum?
Shadaab ho, shabaab ho, mahtaab ho,
Jo mayassar na hua mujhe kabhi,
Kya woh hi ek jalta alftaab ho tum?
Uff … kya lajawaab ho tum,
Khawaab ho tum,
Khawaab ho tum
Khawaab ho tum …

No comments:

Post a Comment