Tuesday 8 July 2014

~ Mujhe Mila .. ~



~ Mujhe Mila .. ~
*
Yun nakkalon ke hujoom main, ek chehra mujhe mila,
Aandhi be-niyato’n ki, woh phir bhi thehra mujhe mila ..
**
Jo dikhta nahin, usse meri inn khamoshiyo’n main sun,
Sunne jo chali main, toh mujh sa na behra mujhe mila ..
***
Jhatak ke zulfen shaanon se, zubaan pe laga liya taala,
Chand ki chandni main lipta, thanda sehra mujhe mila ..
****
Bani titli, jakdi gayi, bani chidiya, sayyaado’n ne ghera,
Banjar zameen ke tukde pe, kaise sabz pehra mujhe mila?
*****
Basti yahan sirf rangrezon ki, mushkilaat e jaan e ‘ainy’,
Uss chehre se milna faqat, rang kitna gehra, mujhe mila!
******




3 comments:

  1. pretty picture...love the color variations in the leaves.....

    ReplyDelete
  2. Beautiful Sadia. To have loved someone and to have been terribly let down..... Beautiful verse, full of rich imagery and Saida's special brand of pathos.

    ReplyDelete