Monday, 18 August 2014

~ Chalen ab? ~


~ Chalen ab? ~
Ki, seh-paher(evening) ke rukhsar(cheek) pe,
Geeli chaandni si, mali hai,
Mere inn aasmanon main,
Dekh, shaam ho chali hai ..

Dhundlake(twilight) ki eenton(bricks) se yun,
Khawab O awaaz dhali hai,
Mehdood(restrained) hui is deewar talak,
Ye hi peh’chan, ho chali hai ..

Simat jaun, faqat tujh main,
Aisi khawaish, kyon pali hai?
Tere choone pe hi gul(flower) si khilun,
Saans, parde’daar(veiled), ho chali hai ..

Chal ab chalen, yahan se door,
Muhabbat kab na khali hai ?
Neenden muthiyon se nikaal,
Lillah, thaki raat ho chali hai ..

Raftar(speed) apne qadmon ko de,
Adaawat(enmity) kab yun tali hai?
Daud us sabz e koh(green of mountain) ke itraf(direction),
Pyaas, aabshaar(waterfall) ho chali hai ..

Dayaar(area) e jangal main, ghar,
Girah(knot), wahin taab(heat) se gali hai,
Jism, kisi paed ki tehni pe, latka … ki ab humari,
‘Rooh’, barhena(naked) O bay-zaar(bored) ho chali hai …

2 comments:

  1. ah, if the picture is the judge
    this is one i wish i could translate....smiles...
    esp with the few words you mingled in the meanings for...

    ReplyDelete
    Replies
    1. Not a translation, but did another on the same painting ... Brian ... Smiles!

      Delete