Monday, 11 August 2014

~ .. Ki … ~



Picture Credit: Sanjay Pandita


~ .. Ki … ~
*
Muqammal se bahane, zidd thi, tujh se door jaane ki,
Kyon badhti gayin becheniyan, tere hi paas aane ki ?
**
Qadam dar qadam, jo tujh se ‘gar yun raabta kiye,
Ek justuju rakhi, parwaz e takhayul'(flight of imagination) milaane ki ..
***
Mannat ke shajar pe, bandhe mutmaeen(satisfied) dhaage kayi,
Mustafeed(avail) na hone payi, koshish thi tujh ko paane ki ..
****
Na hui rangrezz, phir bhi rung daala lafz, tahammul(endurance),
Tarkeeb rahi, yak tarfa, tasveer e nisbat(relation) rungaane ki ..
*****
Tahreer(script/draft) khud ke khawaabon ki, ab tu khud hi likha kar,
Na mazeed(extra) taaqat rahi, lafz balafz tafseer(detail) sunaane ki ..
******
Meelon lamba safar taye kar, muhabbat ghar lauti hai,
Mehsoos hoti hai ab, zaroorat, uss par haq jataane ki ..
*******
Kuredti thi main mitti, har mausam ke guzar jaane pe,
Aarzoo e haqiqi rahi, qabr e alahaidgi, yun banaane ki ..
********
Ilzaam usse de, haq talfi kare jo bayaan e tanhai se,
Faqat khawaish meri, tishnagi ko maiy se sulaane ki ..
*********
Ahmaq(fool) hain woh, jinhain maiy-khwaar(drinker) yun khalte hain,  
Maiy-khanaah ki peshkash sirf, farmayish pe dubaane ki ..
**********
Taaree hai mujh par bhi, junoon e ishq, tujh sa hi ab,
Inaayat kar, apne haath se hi, aab e hayaat pilaane ki ..
***********
Rukh e habeeb(beloved) se raqeeb(enemy) ka sa qaraar, kis pahar ‘ainy’ ?
Kya kaatib(scribe) ki marzi hai, Shamal(north) aur Janoob(south) milaane ki ?
************

1 comment:

  1. did you know that ki means earth
    in ancient sumerian?

    hope your tuesday is going well.
    smiles

    ReplyDelete