Sunday, 17 August 2014

~ Uss Paar … ~


~ Uss Paar … ~
Jharokhe ke,
Mere bar’amade(verandah) main,
Kursi ke saath se meh’room, ma’yoos,
Goya be-etbaar(unbeliever) e marasim(connection),
Uss mayz pe,
Ek kaanch ki piyaali,
Tasalli zada,
Rangon se labalab,
Nisbat(relation) banaye rakhti hai …
Sukhan(poetry) ki shaaguf’tagi(bloom),
Alfaazon ki saadgi O shokhi,
Paak Raqqasa ka sunhera nasheman(abode) .. woh piyaali …
Anjuman(gathering) kamsin qissahon ki .. woh yak piyaali …
Khwateen(woman) ki chanakti hansi,
Taab-daar(sparkling) falak(sky),
Jahanon ka hissa karti, inaayt ufaq(horizon) ki,
Paher do paher ki bekasi(restlessness),
Bekhud’gi tarannum(melody) e sabz(greenery) ki,
Zauq(taste) e qulqul e Qulzum(sea),
Faiz(grace) e Khurshid(Sun),
Jhoolte bazoo e noor e Mah(Moonlight) main,
Guncha e Abr(cloud) bhi,
Zayr-zabar(argue) karti, narangi maghrabi-hawa(zephyr),
Aur uss ki ungliyon se lipt’te gaisu,
Mere khush-roo mehboob ke …
Par, yahi nanhi si piyaali,
Mere hathon main,
Jharokhe ke ‘Iss Paar’,
Khaali manzar de jati hai … fareeb e nazar(illusion) maano koi …
Main jhat se piyaali ussi jagah rakh deti hoon,
Saare rang, khud-ba-khud, pehle ke maanind,
Yak’ba’yak, zahiri shaad(blessed) wajood pa lete hain,
Jaise, humesha se wahin they … aur, wahin rahenge …
Issiliye, ‘garche kabhi, mujhe dhoondne niklo tum,
To’, bata deti hoon … main ‘Iss Paar’, nahin milungi!



1 comment: