Sunday 24 August 2014

~ Titli … ~

~ Titli … ~

Mere paeron main … nafzon ko ghaerti,
Cheelti, nazuk wajood ko,
Ahiste ahiste, galaati hui,
Kashmakash ki tezaabi zanzeeren hain,
Ankhon pe, talkh andheron ki pat’ti … kasi hui …
Pankh, jo sat-rangi they kabhi,
Waqt ke ikh’tilaafi hanthon ne,
Lamhaat dar lamhaat,
Parat dar parat,
Ek ek kar ke, rang churaya hai … mere parwaaz ka …
Aaj .. ek jheene panne ke maafiq,
Bad-rang, bad-soorat, be-lahu,
Hai meri chah e udaan bhi ..
Nanhe se jism ke kone main,
Aazmayishon ke khilaaf … ek arrse pehle …
Kisi’kar saans leta, jo ek dil tha,
Usne intiqaal farmaya hai … aaj fajr main hi …
Uff … ye mausam e maa’yusi,
Aur, bad-gumaani ‘titli’ hone ki,
Har ghadi, bhojil hoti peh’chaan,
Har dafa bas ek hi sawaal,
Iss farayb e saraab main,
Kab talak yun dafan rahun?
Qabr main layte hone ke baw’jood,
Intehaai taur pe thaka deta hai,
Ladna khud hi ki khawaaish’at se,
Pankhon ko hawa cha’khaane ki …

2 comments: