Sunday 3 August 2014

~ Ye Manzar .. ~


~ Ye Manzar .. ~

Pa gayin hoon sifat ek aaine ki, kya?
Rukh pe … sunheri parat charhaye ..
Ander se … khoob khalish liye …
Deewaaren, deemakh khaati,
Shikan numa, shikaasta wajood,
Purani mazaar si, dulhan ka,
Surmayi andheron sila pairhan,
Seelan lagi payalen,
Kamarband zung ka,
Bebasi risti choodiyan,
Karwaten leti, aadhi raat si, kunwari meri rooh …
Numaish ki …… talabgaar
Dhund idhar bhi … udhar hai par sone chaandi si …
Dhoop chunar odhe, nayi dulhan sa … aks mera …
Saat rangon main ghote lagaate, parinde wahan,
Sookhti tehniyon se bane ujaad gharonde yahan,
Sondhi khushboo liye geeli mitti, doob ki ghaans,
Mutmelii kumblaayi jadhen meri, idhar leti saans,
Baaghicha e saraab, parvaan e kaghazi parchaayin,
Khunaki e gosha e dasht, dum todta mera jism siah’i ..
Jaise hon woh, do chorr, dooriyan darmiyan liye,
Ek baras si lambi, khamida, udhadti dorr ke …
Kitna sach hai, kitna jhoot, Ye Manzar,
Kuch pata nahin …
Kyonki jo main hoon, woh gumshuda hai kahin,
Jaise pehchani jaati hoon, woh khayal hai faqat, apka …
Zamanat meri, paichid’gi e nazar e asal iss taraf, apki ….
Ji …. ek aaina hi, hui hoon main …. Shayad ……….




1 comment: